Main kya hoon….!
Yeh prashn,baar baar mere bheetar utha karta hai
Bechain karta mujhe kya main…..
Ishwar ki sarvashretha kriti….
hoon kewal,
maa hoon,
patni hoon,
behan hoon,
beti hoon???
Nahi……Nahi,
Itna hi nahi main….kuchh aur bhi hoon…..
Main bhor ki unchhuii kiran hoon,
Main jal par tairati pankaj kali hoon,
Main jal ki lahron ko laharati,
Nachaati komal hawa hoon…..
Main mandir mein gunjati ghanti ki aawaj hoon,
Main Masjid ki ajaan ka pahla aur akhiri akshar hoon.
Main upwan mein ithlaati titliyon ki udaan hoon,
Main dharti par bichhi pyaar ki daulat see dhamakte
Poonam ki chaandni hoon…..
Main bagiiya mein mahakti,yahan vahan daudati,
Kilkaari bharti nanhi bachchi hoon……
Yeh bachchi mujhme jab tak hai.. main…..main hoon
Verna toh main maatr deh hoon aur kuchh bhi nahi…!!
Comments