~* Mohabbat Ki Kahani *~



Ajab kahani or shayad meri hee zabani hay ..
Ik larka woh anjana tha .. beygana sa pyara sa
Woh janey kahan kasey kab takra gaya...
Mujh ko bha gaya .. phir kuch aisa hua kai baatein huin
Choti woh lambi raatein huein
Woh aur main aksar dono ghanton ghanton bethey yunhi
Baatein kya kartey thaey
Janey kab kyun ahsas hua ...
Mujh ko usi ka pass hua
Woh us din shayad na aya tha ..
Jaan meri p'aey ban ayi thii ...

Tarpi tarsi bethi main ..
Pershan hui saans lena mujh per muhal hua
Ahsas hua mujh ko us din ,Ki ho gaii mujh ko mohabbat ab


Dhoonda maine intazar kiya
Raat woh sari din bhi apna bekrar kiya ..
Beychan hua dil nadan hua ..
Phir sham hui woh wapis aya
Phir main nai us ko batlaya
Jatlaya us ko behlaya
Kaha us ko
suno tum sai mohabbat ..
Bohat hai mujh ko bohat hai
Bas mujh ko tum sai mohabbat hai ...
Mein Ghabrai thi woh sharmayatha
Kahin door ja kar mein simti thi
Phir ghabraya woh ....
Pershan hua ...
Kuch daer ko woh chup ho kar
Phir mujh sai woh mukhatib hua


Na mil paon agar tumse toh kya karo gay ?
Socha main nai toh jaan nikli ....
Bey inteha nikli baarha nikli ...
Chup rahi nahi bola kuch
Phir yun hua kai justuju us ko hui
Khamosh si ,mein woh bholi bhali si
Ik din unse sai kehney lagi
Yun tum sai baatein karti hoon
Baeykar yeh raatein katti hoon
Tum sai kehti hoon main Na main yun
Dil main rekhti tumko , Haan main yun
Ki mohabbat tum sai karti hoon
Par jaroor tumse derti hoon ...

Yun laga unko tab
Seerab hua yeh sehra ab
woh utha khushi sai naach gya
Dil mera zor sai dhadka tab...
Poocha phir yun shararat se main nai jab
Kaho kyun lety ho imtehan ab ?


Woh haste muskurate sharmate
Uthe phir chal diye par jatay jatay mujh ko
Keh gaiiye ek anjan baat
Bole....!!!
Meri majboori
Kabhi ho gi na yeh aas poori...


Mein thi junoon main pagal
ranjha bani main woh majnu ghayal
Jawab deya usey hosla deya
Phir din raat main nai mehka deya
Phir wasee hee hotein baatein thi
Khamosh si lambi raatein thi
Ham dono they bas ham dono
Aur hamari mohabbat ki baatein thi


Phir yun hua kai us ka jana hua ...
Ik khiley phool ka murjhana hua
Meri zindagi gaii meri qismat gaii
Mera junoon meri wehshat gaii



Khali haath khoal liye
Main dar dar talash main us ki bhatki ..
Dhoonda bohat par mila nahi woh
Tap'ti raet
Pairon main phir ch'aley aye ..
Jeena phir dushwar hua
Mujh ko us din us ka deedar hua
Main phatey puraney halon main
Paon main parey ch'alon main
Lambi dari maeley kaprey
Ukhri saansien par chamki ankhein

Dekha main nai us ko jab
Pass gyi gir gir jab ..
Poocha mujh jante ho ?
Kya tum mujh ko pehchante ho ?
Woh anjani si deewani si

Mujh ko kehta hay
Aey meera toh adh mari si
Mujh ko kaisey janti hai ?
Kasey tu pechanti hai ?
Main na janoon kaun hai tu
Tha'tka main phir larkharai
Haath main us ka toofa tha
Gir pari phir tarap kai main


Ik nazar jo us ko dekha tab ...
Ja rahe they thamey kisi ka haath
Chor ker mera sang or saath


Saansein ,dil dhadakna band hua
Palkein moondhein jaan nikli thi
Lash ko meri phir uthaya jab
Na qafan na ghusal bin kye yeh sab
Dafna aye mujh ko jogi char
Shayad kai they woh merey yaar ...
Qabar meri bhi kachi thi ...
Meri mohabbat bin qafan hui
Bin unke hee woh bhi dafan hui
woh kahani phir yun khatam hui ..!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!

Comments