Words from my old diary..

"Maa....Khaana ?"
(i have wrote this when i saw the serioul jadugar in doordarshan and i was in 5th std)
Us din der se jagaaya tha maa ne..
Taan ki parhne ke liye bhaag bhaag ke jaauu..
Der hogayi thi isliye bina kuch khaaye hi nikal gayi..
Ab yaad aata hai..maa ne roka bhi nahi tha..

Baste mein khaane ka dibba gayab.
Mote larhke ne liya ya mujhse gir gaya ?
Dhoondte dhoondte khaane ka samay bhi nikal gaya..
Ab yaad aata hai..maa ne dibba rakha hi nahi tha..

Jeb mein paise nahi rakhe maa ne..
Bhool gayi ya mujhse gum gaye ?
Sochti rahi..aur jalebi wala chalaa gaya..
Ab yaad ataa hai..maa ne paise diye hi nahi the..

Ghar waapis aayi toh koi nahi tha..
Bachpan ki masoomiyat kaho ya anjaanapan ?
Bhook se tang jab kuch nahi mila, toh aansuon se pet bhar liya..
Ab yaad aata hai..ghar pe koi kyun nahi tha..

Maa chupti rahi aur mujhse chupaati rahi.
Uss kachi umar mein maine khud ko majboor payaa.
Chanchal dil ab gumsum tha..
Das saal ke mann ko maine bees ke dimag se samjhaya..

Maa raat ko rasoi mein kitni der tak kaam karti rahi.
Main jaanti thi wo chupa rahi hain..
Aur khaane ko kuch nahi hai..
Main so gayi.par shareer ki kamzori ko haraa na sakii.
Bachpan ki uss bhookh ko chupaa na saki..
Khabar thi ke wo jawaab nahi de sakengi.
Shayad ro dengi aur mujhse nazaren mila na sakengi..
Sharminda nahi karna chahti thi main unhe..
Samajhti thi main unki takleef ko,ye batana tha unhe..
Par…Nahi rok payi main khud ko,aur gala bhar aaya
Na chahte hue bhi mere muh se ye nikal hi gaya….

“Maa…khaana ?”

Main..

Duniya ki bheerh mein chalne lagi thi main.
Auron ke kadam se kadam milaye
Unhi ki chaal mein chalne laga thi main.
Apni samajhdari ko,mann ki shanti ko,
Ab ek alag hi roop de chuki thi main.

Pyar ko nafrat mein
Vishvas ko darr mein
Haunsle ko kayarta mein
Pal pal badal rahi thi main.

Hamesha haste rehne ki soch mein
Har waqt doosron ki hasi cheen rahi thi main.
Khud ko pane ki chah mein
Khud se hi,anjaan,bicharh rahi thi main.

Mann mein koi pachtava nahi tha
Aur har shabd mein karhwahat ghol rahi thi main.
Har nazar mein mere liye gussa tha

Par sirf ek nazar ki hamdardi dekh saki jab main.

Aayina dekhne se bhi katraane lagi,
Khud ko sharmindagi mein doobone lagi fir main.
Aaj akeli iss baat ka ehsaas kar paa rahi hu,
Ke zindagi ki mushkilo se larhne ke liye
Apne astitva ko khone lagi thi main.

<<<<................when i have wrote " i dont rememeber but i put it here because the old pages where i have written in old days they are missed and some are misplace ,so i think this is right place ...................>>>>>

Comments